Chehara Chhupa Liya Hai Kisine Lyrics

"Chehara Chhupa Liya Hai Kisine" lyrics from Nikaah sung by asha bhosle, mahendra kapoor, salma agha and music directed by ravi shankar sharma (ravi) and composed by ravi shankar sharma (ravi) and lyrics written by hasan kamal

Lyricist(s):
Music Director(s):

Chehara Chhupa Liya Hai Kisine Lyrics


Chehara chhupa liya hai
Kisine hijaab me
Chehara chhupa liya hai
Kisine hijaab me
Are ji chaahata hai aag
Laga du nakaab me

Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Are lag jaati warna aag
Tumhaare shabaab me

Ham husn ke parvaane
Jalane se na darate
Anjaame mohabbat ki
Parvaah nahi karte
Ik baar hi dete hain
Dil apna hasino ko
Ik baar hi marte hain
Sau baar nahi marte

Parvaane se pehele jali
Aur parvaane ke saath jali
Woh toh jala bas pal do
Pal shama toh saari raat jali
Ek parvaana jala kis
Kadar shor macha
Ek parvaana jala kis
Kadar shor macha
Shama chup chaap jali
Lab pe shikwa naa gila
Shama chup chaap jali
Lab pe shikwa naa gila
Kya hai jalane kaa maja
Husn se puchho jara
Kya hai jalane kaa maja
Husn se puchho jara kyu ke
Parvaane ko jal jaana
Hamne hi sikhaaya hai
Woh tab hi jala hamne
Jab khud ko jalaaya hai
Aashik ki jaan ishk me
Jaane se peshkar
Aashik ki jaan ishk me
Jaane se peshkar
Are khud husn dubata
Hai wafa ke chanaab me

Gar husn nahi hota yeh
Ishk kaha hota
Phir kis se wafa karte
Phir kis kaa wafa hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi naa huwa hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi naa huwa hota
Gar tum naa hasin hote
Gar mai naa jawaan hota

Jis roj se iss husn
Kaa didaar kiya hai
Bas pyaar kiya pyaar
Kiya pyaar kiya hai
Yeh jhuth hai ke tumne
Hame pyaar kiya hai
Hamne tumhe julfo
Me girftaar kiya hai
Jis roj se iss husn kaa
Didaar kiya hai
Bas pyaar kiya pyaar
Kiya pyaar kiya hai
Yeh jhuth hai ke tumne
Hame pyaar kiya hai
Hamne tumhe julfo me
Girftaar kiya hai

Tum husn ho ham ishk hain
Gar tum tum nahi toh ham nahi
Hai baat sachchi bas yahi
Koyi kisi se kam nahi
Ek naghma hai ek raag hai
Dono taraf ek aag hai
Tum se hame shikwa bhi hai
Phir bhi tumhi se pyaar hai
Tum bin hame kab chain
Hamko bhi yeh ikraar hai
Dekhe toh hosh gum ho
Naa dekhe toh hosh gum
Yeh phans gayi hai jaan
Meri kis adab me
Bijali thi ik jo hamne
Chhupa li nakaab me
Are lag jaati warna aag
Tumhaare shabaab me
Lag jaati warna aag tumhaare
Shabaab me aaa aaaa aaa.

More songs lyrics from Nikaah.