Agar Main Kahoon Lyrics

"Agar Main Kahoon" lyrics from Lakshya sung by alka yagnik, udit narayan and music directed by ehsaan noorani, loy mendonsa, shankar mahadevan and composed by ehsaan noorani, loy mendonsa, shankar mahadevan and lyrics written by javed akhtar

Singer(s):
Lyricist(s):

Agar Main Kahoon Lyrics


Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi
Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi
Main tumse kahoongi
Is baat ko agar tum
Zara aur saja ke kehte
Zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Agar main kahoon
Tumko jab dekhoon
Lagti ho jaise nayi
Honthh hain pankhadi phool ki
Aankhein jaise jugnu chamke huwe
Soche mera ye dil dhadakte huwe
Agar main kahoon…
Agar main kahoon ye jo chehra hai
Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi

Main tumse kahoongi
Mujhko bhoole se bhi
Chaand tum na kaho
Chaand mein toh kayin daag hai
Mujhe phool na kehna
Woh murjhaate hain
Jugnu bhi na kehna
Woh kho jaate hain
Ye baatein puraani hai
Jo mujhko sunaani hai
Kissi aur adaa se kehte
Zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota
Agar main kahoon mujhe
Tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai
Toh kya kahogi

Agar main kahoon
Baatein sunke tumhaari
Main hairaan hoon
Jo bhi kehna hai kaise kahoon
Lagta tumhein kuchh
Bhi achcha nahin
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin

Agar main kahoon..
Agar main kahoon tumhein
Pata nahin hai kyun
Hai pyaar mujhe bhi
Tumse toh kya kahoge
Main tumse kahoonga
Mere dil ka hai ye kehna
Ham ko hai saath mein rehna
Ye dono ke dil mein hai na
Toh phir kyun kehna
Agar main kahoon
Toh main tumse kahoongi.

More songs lyrics from Lakshya.